kis jins ka hua hun KHaridar dekhna
kis jins kā huā huuñ ḳharīdār dekhnā
saude kī mere garmī-e-bāzār dekhnā
kaisī aqūbateñ haiñ dil-e-zār dekhnā
marnā bhī aur us ko azā-dār dekhnā
fasl-e-ḳhizāñ meñ dil jo rihā ho gayā to kyā
aane do phir bahār-e-giraftār dekhnā
pāmāl ek ḳhalq huī har qadam ke saath
ai dil butoñ kī shoḳhī-e-raftār dekhnā
maane adab hai varna abhī khīñch luuñ naqāb
mushkil nahīñ hai kuchh tujhe dildār dekhnā
kaafī hai bazm-e-ġhair meñ mujh par nigāh-e-lutf
haañ naza.a meñ hai pursish-e-bīmār dekhnā
hasrat-fazā-e-koh-kan-e-be-navā kī maut
jā-e-kafan hai dāman-e-kohsār dekhnā
dil meñ hazār daaġh haiñ zauq-e-kalīm ke
nazzārgī kī hasrat-e-dīdār dekhnā
kis ne hayā se nīchī nazar kī ki ho gayā
āsāñ na dekhnā mujhe dushvār dekhnā
dekhā ye ḳhvāb meñ to ye hai ālam-e-ḳhayāl
be-ḳhvāb us ko dīda-e-bedār dekhnā
ā.īna-vār dīda-e-dil terī samt hai
is hairatī ko apne zarā yaar dekhnā
vo dekhte haiñ bazm meñ ye dekhtā hai kyoñ
baare huā mujhe bhī sazā-vār dekhnā
allāh re 'zakī' ki kiyā tark-e-dīn-o-dil
chhoḌā magar butoñ ko na zinhār dekhnā
kis jins ka hua hun KHaridar dekhna
saude ki mere garmi-e-bazar dekhna
kaisi aqubaten hain dil-e-zar dekhna
marna bhi aur us ko aza-dar dekhna
fasl-e-KHizan mein dil jo riha ho gaya to kya
aane do phir bahaar-e-giraftar dekhna
pamal ek KHalq hui har qadam ke sath
ai dil buton ki shoKHi-e-raftar dekhna
mane adab hai warna abhi khinch lun naqab
mushkil nahin hai kuchh tujhe dildar dekhna
kafi hai bazm-e-ghair mein mujh par nigah-e-lutf
han naza mein hai pursish-e-bimar dekhna
hasrat-faza-e-koh-kan-e-be-nawa ki maut
ja-e-kafan hai daman-e-kohsar dekhna
dil mein hazar dagh hain zauq-e-kalim ke
nazzargi ki hasrat-e-didar dekhna
kis ne haya se nichi nazar ki ki ho gaya
aasan na dekhna mujhe dushwar dekhna
dekha ye KHwab mein to ye hai aalam-e-KHayal
be-KHwab us ko dida-e-bedar dekhna
aaina-war dida-e-dil teri samt hai
is hairati ko apne zara yar dekhna
wo dekhte hain bazm mein ye dekhta hai kyon
bare hua mujhe bhi saza-war dekhna
allah re 'zaki' ki kiya tark-e-din-o-dil
chhoDa magar buton ko na zinhaar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.