kis ka aks numayan hoga aise gadle pani mein
kis kā aks numāyāñ hogā aise gadle paanī meñ
sūraj Duub gayā hai mere āñgan kī vīrānī meñ
is ghar kī dīvār meñ jaane kis ke kaan phañse hoñge
sirf yahī Dar lāhiq hai mujh ko har naql-e-makānī meñ
hijr kī shab raushan thā ghar meñ ek sitāra aur charāġh
aañkh jhapakne tak kā vaqt nahīñ thā is hairānī meñ
mujh se pahle bhī kuchh vahshī is uljhan meñ faut hue
āḳhir kis kā dast-e-junūñ hai vahshat kī āsānī meñ
surḳh añdherā chhaTne kī minnat kā phīkā zard charāġh
chhoḌ diyā hai saañp kisī ne jhiil ke saada paanī meñ
jaise kisī ne bachchoñ vaale ghar meñ saañp ko rakhnā ho
aise mujhe Dar lagtā hai is hijrāñ kī nigarānī meñ
kis ka aks numayan hoga aise gadle pani mein
suraj Dub gaya hai mere aangan ki virani mein
is ghar ki diwar mein jaane kis ke kan phanse honge
sirf yahi Dar lahiq hai mujh ko har naql-e-makani mein
hijr ki shab raushan tha ghar mein ek sitara aur charagh
aankh jhapakne tak ka waqt nahin tha is hairani mein
mujh se pahle bhi kuchh wahshi is uljhan mein faut hue
aaKHir kis ka dast-e-junun hai wahshat ki aasani mein
surKH andhera chhaTne ki minnat ka phika zard charagh
chhoD diya hai sanp kisi ne jhil ke sada pani mein
jaise kisi ne bachchon wale ghar mein sanp ko rakhna ho
aise mujhe Dar lagta hai is hijran ki nigarani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.