kis ke aangan se guzar kar ye hawa aati hai
kis ke āñgan se guzar kar ye havā aatī hai
siskiyāñ letī huī bū-e-hinā aatī hai
kyā kamī hai ki nigāhoñ se gire jaate ho
dil meñ ghar karne kī tum ko to adā aatī hai
dil kī bāteñ mujhe kahnī nahīñ ātīñ lekin
yahī kyā kam hai tirī hamd-o-sanā aatī hai
khā rahī hai tan-e-bīmār ko andar andar
kis masīhā kī dukāñ se ye davā aatī hai
kis jagah ruk ke zarā der ko dam le koī
kahīñ saaya hai shajar kā na sarā aatī hai
ab bahar-gām baḌhī jaatī hai taklīf-e-safar
ab musāfir ko bahut yād-e-ḳhudā aatī hai
muddatoñ sang musībat kī ragaḌ khātā hai
tab kahīñ ā.ina-e-dil meñ jilā aatī hai
ek hammām meñ goyā ki sabhī nange haiñ
sharm aatī hai na duniyā ko hayā aatī hai
ab to is kār-gah-e-shīsha-garī meñ 'māhir'
har-nafas taaza chhanāke kī sadā aatī hai
kis ke aangan se guzar kar ye hawa aati hai
siskiyan leti hui bu-e-hina aati hai
kya kami hai ki nigahon se gire jate ho
dil mein ghar karne ki tum ko to ada aati hai
dil ki baaten mujhe kahni nahin aatin lekin
yahi kya kam hai teri hamd-o-sana aati hai
kha rahi hai tan-e-bimar ko andar andar
kis masiha ki dukan se ye dawa aati hai
kis jagah ruk ke zara der ko dam le koi
kahin saya hai shajar ka na sara aati hai
ab bahar-gam baDhi jati hai taklif-e-safar
ab musafir ko bahut yaad-e-KHuda aati hai
muddaton sang musibat ki ragaD khata hai
tab kahin aaina-e-dil mein jila aati hai
ek hammam mein goya ki sabhi nange hain
sharm aati hai na duniya ko haya aati hai
ab to is kar-gah-e-shisha-gari mein 'mahir'
har-nafas taza chhanake ki sada aati hai
- Book : Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 61)
- Author : Mahir Abdul Hayee
- Publication : Bazme-e-Urdu,Mau (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.