kis ke KHayal ne mujhe shorida kar diya
kis ke ḳhayāl ne mujhe shorīda kar diyā
tanhā-shabī ko aur bhī sanjīda kar diyā
ehsās-e-nā-rasā.ī kī banjar zamīn ko
kis ke ḳhayāl-e-sabz ne bālīda kar diyā
kal ham ne tasht-e-bām pe shab-ḳhūn maar kar
bistar uchaTtī niiñd kā ḳhvābīda kar diyā
biite ġhamoñ ko aaj kī talḳhī meñ ghol kar
mustaqbil-e-hayāt ko laġhzīdā kar diyā
har roz kī na.ī na.ī ījād ne 'hanīf'
har mādan-e-qadīm ko zholīda kar diyā
kis ke KHayal ne mujhe shorida kar diya
tanha-shabi ko aur bhi sanjida kar diya
ehsas-e-na-rasai ki banjar zamin ko
kis ke KHayal-e-sabz ne baalida kar diya
kal hum ne tasht-e-baam pe shab-KHun mar kar
bistar uchaTti nind ka KHwabida kar diya
bite ghamon ko aaj ki talKHi mein ghol kar
mustaqbil-e-hayat ko laghzida kar diya
har roz ki nai nai ijad ne 'hanif'
har madan-e-qadim ko zholida kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.