kis ke khoe hue ausan chale aate hain
kis ke kho.e hue ausān chale aate haiñ
vo jo yuuñ be-sar-o-sāmān chale aate haiñ
ġhair ke milne kī tākīd hai har ḳhat meñ mujhe
kis qayāmat ke ye farmān chale aate haiñ
tum jo nāzuk ho to kyā aa nahīñ sakte dil meñ
aañkh kī raah bhī insān chale aate haiñ
ghar se bāhar nikal aayā na ho vo parda-nashīñ
log kyoñ chāk-garebān chale aate haiñ
rashk-e-dushman kabhī dil meñ hai ḳhayāl-e-ġham-dost
aaj mehmān pe mehmān chale aate haiñ
aap ġhurbat meñ na ghabrā.iye itnā 'safdar'
dekhiye ġhaib se sāmān chale aate haiñ
kis ke khoe hue ausan chale aate hain
wo jo yun be-sar-o-saman chale aate hain
ghair ke milne ki takid hai har KHat mein mujhe
kis qayamat ke ye farman chale aate hain
tum jo nazuk ho to kya aa nahin sakte dil mein
aankh ki rah bhi insan chale aate hain
ghar se bahar nikal aaya na ho wo parda-nashin
log kyon chaak-gareban chale aate hain
rashk-e-dushman kabhi dil mein hai KHayal-e-gham-dost
aaj mehman pe mehman chale aate hain
aap ghurbat mein na ghabraiye itna 'safdar'
dekhiye ghaib se saman chale aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.