kis KHarabi se main us dar tak gaya
kis ḳharābī se maiñ us dar tak gayā
raah meñ gir gir paḌā thak thak gayā
ho ga.e aise junūñ meñ ham za.iif
haath mushkil se garebāñ tak gayā
ḳhāksārī hai ma.āl-e-puḳhtagī
shāḳh se Tapkā jo meva pak gayā
zo.af-e-pīrī kā sabab hai tūl-e-umr
duur manzil thī musāfir thak gayā
chup ho ai nāseh bahut bāteñ na kar
terī garmī se kalejā pak gayā
zaar huuñ saaqī karūñ kyā ḳhum se ḳhum
pī ke mai maiñ ek qatra chhak gayā
gāliyāñ diiñ aap ne achchhā kiyā
thā jo hone meñ dahan ke shak gayā
ho ga.e ġham se sarāpā daaġh ham
kyā siyah-rūī kā parda Dhak gayā
ab ġhizā kī kyā mujhe parvā rahe
luqma-e-ġham khāte khāte chhak gayā
tang ho kar kyoñ na de mujh ko fishār
gor ke ghar meñ maiñ be-dastak gayā
manzil-e-ulfat karegā kaun tai
do qadam chal kar musāfir thak gayā
kyā Thikāna lafz-o-mazmūñ kā 'asīr'
muñh meñ jo aaya maiñ vahshī bak gayā
kis KHarabi se main us dar tak gaya
rah mein gir gir paDa thak thak gaya
ho gae aise junun mein hum zaif
hath mushkil se gareban tak gaya
KHaksari hai maal-e-puKHtagi
shaKH se Tapka jo mewa pak gaya
zoaf-e-piri ka sabab hai tul-e-umr
dur manzil thi musafir thak gaya
chup ho ai naseh bahut baaten na kar
teri garmi se kaleja pak gaya
zar hun saqi karun kya KHum se KHum
pi ke mai main ek qatra chhak gaya
galiyan din aap ne achchha kiya
tha jo hone mein dahan ke shak gaya
ho gae gham se sarapa dagh hum
kya siyah-rui ka parda Dhak gaya
ab ghiza ki kya mujhe parwa rahe
luqma-e-gham khate khate chhak gaya
tang ho kar kyon na de mujh ko fishaar
gor ke ghar mein main be-dastak gaya
manzil-e-ulfat karega kaun tai
do qadam chal kar musafir thak gaya
kya Thikana lafz-o-mazmun ka 'asir'
munh mein jo aaya main wahshi bak gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.