kis KHwahish ko man mein daba ke roti ho
kis ḳhvāhish ko man meñ dabā ke rotī ho
tum koī to baat chhupā ke rotī ho
bolo itnī paak mohabbat kis se hai
kar ke sajda saath du'ā ke rotī ho
jin zulfoñ se sang tarāshe jaate the
un zulfoñ meñ phuul sajā ke rotī ho
chup kar terā soz na ham sun pā.eñge
kis koyal kī kuuk churā ke rotī ho
qadġhan mere naam kī aisī 'aa.ed hai
chūlhe meñ ab phūñk lagā ke rotī ho
'sāgar' apne baap kī hurmat rakhne ko
kamre meñ zanjīr lagā ke rotī ho
kis KHwahish ko man mein daba ke roti ho
tum koi to baat chhupa ke roti ho
bolo itni pak mohabbat kis se hai
kar ke sajda sath du'a ke roti ho
jin zulfon se sang tarashe jate the
un zulfon mein phul saja ke roti ho
chup kar tera soz na hum sun paenge
kis koyal ki kuk chura ke roti ho
qadghan mere nam ki aisi 'aed hai
chulhe mein ab phunk laga ke roti ho
'sagar' apne bap ki hurmat rakhne ko
kamre mein zanjir laga ke roti ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.