kis ki aankhon mein raqam dil ki hikayat karte
kis ki aankhon mein raqam dil ki hikayat karte
Ghulam Mustafa Faraz
MORE BYGhulam Mustafa Faraz
kis kī āñkhoñ meñ raqam dil kī hikāyat karte
koī thā hī nahīñ aisā ki mohabbat karte
itne masrūf the ham ḳhud meñ ki fursat na milī
dost karte jo kisī ko to 'adāvat karte
jab rasā.ī nahīñ mumkin thī tirī ḳhalvat tak
aur kyā karte agar ham na siyāsat karte
tum ne chāhā na mudāvā-e-ġham-e-shām-e-firāq
varna tum kuchh to na aane kī vazāhat karte
zer-e-lab nīm-tabassum se vo detā thā javāb
āñkhoñ āñkhoñ meñ kabhī ham jo sharārat karte
muntazir rahtī mirī ḳhaak bhī sar-tā-ba-qadam
tum kabhī aañkh uThāne kī to zahmat karte
shāyad aglī kisī manzil pe kushāda ho zamīñ
kaT ga.ī 'umr isī soch meñ hijrat karte
kis ki aankhon mein raqam dil ki hikayat karte
koi tha hi nahin aisa ki mohabbat karte
itne masruf the hum KHud mein ki fursat na mili
dost karte jo kisi ko to 'adawat karte
jab rasai nahin mumkin thi teri KHalwat tak
aur kya karte agar hum na siyasat karte
tum ne chaha na mudawa-e-gham-e-sham-e-firaq
warna tum kuchh to na aane ki wazahat karte
zer-e-lab nim-tabassum se wo deta tha jawab
aankhon aankhon mein kabhi hum jo shararat karte
muntazir rahti meri KHak bhi sar-ta-ba-qadam
tum kabhi aankh uThane ki to zahmat karte
shayad agli kisi manzil pe kushada ho zamin
kaT gai 'umr isi soch mein hijrat karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.