kis ki aankhon ne kiye ashk rawan mere baad
kis kī āñkhoñ ne kiye ashk ravāñ mere ba.ad
ho gayā raaz mohabbat kā bayāñ mere ba.ad
mere baa.is huā duniyā meñ ta.āruf terā
phir tire husn ke charche ye kahāñ mere ba.ad
jin kī nazroñ meñ khaTaktā thā maiñ kāñTe kī tarah
un kī nazroñ meñ hai tārīk jahāñ mere ba.ad
phir kisī ne na sunā tazkira-e-qatl-o-jafā
kaT ga.ī ḳhanjar-e-qātil kī zabāñ mere ba.ad
mujh ko 'jarrār' fanā ishq-e-sitamgar ne kiyā
ab kahāñ jā.egā ye dushman-e-jāñ mere ba.ad
kis ki aankhon ne kiye ashk rawan mere baad
ho gaya raaz mohabbat ka bayan mere baad
mere bais hua duniya mein taaruf tera
phir tere husn ke charche ye kahan mere baad
jin ki nazron mein khaTakta tha main kanTe ki tarah
un ki nazron mein hai tarik jahan mere baad
phir kisi ne na suna tazkira-e-qatl-o-jafa
kaT gai KHanjar-e-qatil ki zaban mere baad
mujh ko 'jarrar' fana ishq-e-sitamgar ne kiya
ab kahan jaega ye dushman-e-jaan mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.