Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ki aarzu the hum kis ne be aman chhoDa

Sameena Aslam Sameena

kis ki aarzu the hum kis ne be aman chhoDa

Sameena Aslam Sameena

MORE BYSameena Aslam Sameena

    kis aarzū the ham kis ne be amaañ chhoḌā

    chhoḌo biitī bātoñ ko kis ne kyoñ kahāñ chhoḌā

    pīchhe pīchhe ho lete ke ham manā lete

    vo to yuuñ gayā koī naam na nishāñ chhoḌā

    muñh chhupāte phirte haiñ aap apne dāman meñ

    us ne is tarah chhoḌā ki phir kahīñ na chhoḌā

    baat baat par ham ko jaan chhoḌo kahte ho

    da.avā hai ki ro doge ham ne jab jahāñ chhoḌā

    phir sunā hai is ke baad dāstāneñ bantī ga.iiñ

    kahte kahte ik jumla ham ne darmiyāñ chhoḌā

    kis ki aarzu the hum kis ne be aman chhoDa

    chhoDo biti baaton ko kis ne kyon kahan chhoDa

    pichhe pichhe ho lete ja ke hum mana lete

    wo to yun gaya koi nam na nishan chhoDa

    munh chhupate phirte hain aap apne daman mein

    us ne is tarah chhoDa ki phir kahin ka na chhoDa

    baat baat par hum ko jaan chhoDo kahte ho

    dawa hai ki ro doge hum ne jab jahan chhoDa

    phir suna hai is ke baad dastanen banti gain

    kahte kahte ek jumla hum ne darmiyan chhoDa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now