kis ki aawaz kan mein aai
kis kī āvāz kaan meñ aa.ī
duur kī baat dhyān meñ aa.ī
aisī āzād ruuh is tan meñ
kyoñ parā.e makān meñ aa.ī
aap aate rahe bulāte rahe
aane vaalī ik aan meñ aa.ī
ye kināra chalā ki naav chalī
kahiye kyā baat dhyān meñ aa.ī
ilm kyā ilm kī haqīqat kyā
jaisī jis ke gumān meñ aa.ī
baat adhūrī magar asar duunā
achchhī luknat zabān meñ aa.ī
maiñ payambar nahīñ 'yagānā' sahī
is se kyā kasr shaan meñ aa.ī
kis ki aawaz kan mein aai
dur ki baat dhyan mein aai
aisi aazad ruh is tan mein
kyon parae makan mein aai
aap aate rahe bulate rahe
aane wali ek aan mein aai
ye kinara chala ki naw chali
kahiye kya baat dhyan mein aai
ilm kya ilm ki haqiqat kya
jaisi jis ke guman mein aai
baat adhuri magar asar duna
achchhi luknat zaban mein aai
main payambar nahin 'yagana' sahi
is se kya kasr shan mein aai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 84)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.