Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ki chashm-e-mast yaad aati rahi

Khushi Mohammad Naazir

kis ki chashm-e-mast yaad aati rahi

Khushi Mohammad Naazir

MORE BYKhushi Mohammad Naazir

    kis chashm-e-mast yaad aatī rahī

    niiñd āñkhoñ se mirī jaatī rahī

    dil to shauq-e-dīd meñ taḌpā kiyā

    aañkh kam-baḳht sharmātī rahī

    zindagī se ham rahe nā-āshnā

    saañs go aatī rahī jaatī rahī

    umr-bhar 'nāzir' rahe sahrā-navard

    bazm-e-gulshan garche yaad aatī rahī

    kis ki chashm-e-mast yaad aati rahi

    nind aankhon se meri jati rahi

    dil to shauq-e-did mein taDpa kiya

    aankh hi kam-baKHt sharmati rahi

    zindagi se hum rahe na-ashna

    sans go aati rahi jati rahi

    umr-bhar 'nazir' rahe sahra-naward

    bazm-e-gulshan garche yaad aati rahi

    Source :
    • Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 398)
    • Author : Dr. Abdul Wahid
    • Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now