kis ki inayat yaad nahin hai
kis kī ināyat yaad nahīñ hai
kaun sitam-ījād nahīñ hai
merī koī rūdād na pūchho
merī koī rūdād nahīñ hai
un kā tabassum yaad hai mujh ko
apnī haqīqat yaad nahīñ hai
kaash ki us ne sochā hotā
dil hai koī faulād nahīñ hai
aap 'ziyā' se laakh chhupā.eñ
aap kā dil bhī shaad nahīñ hai
kis ki inayat yaad nahin hai
kaun sitam-ijad nahin hai
meri koi rudad na puchho
meri koi rudad nahin hai
un ka tabassum yaad hai mujh ko
apni haqiqat yaad nahin hai
kash ki us ne socha hota
dil hai koi faulad nahin hai
aap 'ziya' se lakh chhupaen
aap ka dil bhi shad nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.