kis ki parchhain mere sath safar karti hai
kis kī parchhā.īñ mire saath safar kartī hai
kaun hai ye jo mirī umr basar kartī hai
ḳhvāb ke shahr banātī hai mirī ik hamrāz
aur phir ḳhud hī mujhe shahr-badar kartī hai
koī āvāz kahīñ DhūñDhtī phirtī hai mujhe
intizār arse se ik rāhguzar kartī hai
isī ummīd pe likhtī huuñ hadīs-e-dil-e-zār
dil se niklī huī har baat asar kartī hai
lafz-o-ma.anī ke samundar meñ koī sā.at-e-nūr
kisī taḳhlīq ke lamhe ko guhar kartī hai
kis ki parchhain mere sath safar karti hai
kaun hai ye jo meri umr basar karti hai
KHwab ke shahr banati hai meri ek hamraaz
aur phir KHud hi mujhe shahr-badar karti hai
koi aawaz kahin DhunDhti phirti hai mujhe
intizar arse se ek rahguzar karti hai
isi ummid pe likhti hun hadis-e-dil-e-zar
dil se nikli hui har baat asar karti hai
lafz-o-mani ke samundar mein koi saat-e-nur
kisi taKHliq ke lamhe ko guhar karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.