kis ki yaadon ka faiz jari hai
kis kī yādoñ kā faiz jaarī hai
kis liye itnī āh-o-zārī hai
sī liye hoñT pī liye aañsū
ye hī tahzīb-e-inkisārī hai
kis kī yādoñ meñ jāgte ho tum
kis ke ḳhvāboñ kī zimmedārī hai
sirf 'unvāñ badal diyā tum ne
varna ye dāstāñ hamārī hai
jitne ehsān haiñ tumhāre haiñ
jo ḳhatā hai faqat hamārī hai
'mīr' sāhab bhī ḳhuub kahte haiñ
'ishq patthar hai aur bhārī hai
bah rahī hai furāt-e-ġham 'shākir'
āñsuoñ kī sabīl jaarī hai
kis ki yaadon ka faiz jari hai
kis liye itni aah-o-zari hai
si liye honT pi liye aansu
ye hi tahzib-e-inkisari hai
kis ki yaadon mein jagte ho tum
kis ke KHwabon ki zimmedari hai
sirf 'unwan badal diya tum ne
warna ye dastan hamari hai
jitne ehsan hain tumhaare hain
jo KHata hai faqat hamari hai
'mir' sahab bhi KHub kahte hain
'ishq patthar hai aur bhaari hai
bah rahi hai furaat-e-gham 'shakir'
aansuon ki sabil jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.