kis ki ye siyasat hai kis ki hain ye tadbiren
kis kī ye siyāsat hai kis kī haiñ ye tadbīreñ
rahzanoñ ne paa.ī haiñ rahbaroñ kī taqdīreñ
mere ḳhvāb-e-vahshat kī jaane kyā hoñ ta.abīreñ
daar hai na zindāñ hai tauq hai na zanjīreñ
aap kī amānat haiñ aap hī miTā diije
ye nuqūsh ulfat ke ye vafā kī tahrīreñ
kah rahā hai sadiyoñ se taaj kā hasīñ chehra
fan agar mukammal ho boltī haiñ tasvīreñ
log jaane kyuuñ us ko kah rahe haiñ dīvāna
vo to apne ḳhvāboñ kī DhūñDhtā hai ta.abīreñ
luuT leñ na farzāne azmat-e-junūñ 'sumbul'
thak ga.e haiñ dīvāne so ga.ī haiñ zanjīreñ
kis ki ye siyasat hai kis ki hain ye tadbiren
rahzanon ne pai hain rahbaron ki taqdiren
mere KHwab-e-wahshat ki jaane kya hon tabiren
dar hai na zindan hai tauq hai na zanjiren
aap ki amanat hain aap hi miTa dije
ye nuqush ulfat ke ye wafa ki tahriren
kah raha hai sadiyon se taj ka hasin chehra
fan agar mukammal ho bolti hain taswiren
log jaane kyun us ko kah rahe hain diwana
wo to apne KHwabon ki DhunDhta hai tabiren
luT len na farzane azmat-e-junun 'sumbul'
thak gae hain diwane so gai hain zanjiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.