kis kis ko aaj roiye kya kya gaya nahin
kis kis ko aaj roiye kyā kyā gayā nahīñ
kahte haiñ log ghar koī luuTā gayā nahīñ
kahte haiñ jis ko hāsil-e-bahbūdī-e-hayāt
aisā koī savāl uThāyā gayā nahīñ
merā bhī zikr-e-ḳhair ho har bazm-e-nāz meñ
aisā mire nasīb meñ likkhā gayā nahīñ
vo bhī mirā chalan thā ki shīrāza-e-hayāt
bikhrā kuchh is tarah ki sameTā gayā nahīñ
ab bhī khanak nahīñ hai naved-e-bahār meñ
sehn-e-chaman se ḳhauf ḳhizāñ kā gayā nahīñ
ab kyā kareñ ḳhulūs-o-muravvat ke tazkire
hirs-o-havas se duur zamāna gayā nahīñ
har ik qadam pe sāya-e-ā'māl saath thā
koī 'adam ke shahr meñ tanhā gayā nahīñ
maiñ ḳhud-baḳhud banā huuñ tamāshā.iyoñ se pūchh
koī mujhe banā ke tamāshā gayā nahīñ
ab aap kyā kareñge madāvā-e-soz-e-ġham
manzar to ġham kā aap se dekhā gayā nahīñ
jazba-e-sabr-o-shukr mere kaam aa gayā
kyā thā jo mere baḳht meñ likkhā gayā nahīñ
sach to ye hai nasīb muāfiq nahīñ mirā
ai 'dard' de ke vo mujhe dhokā gayā nahīñ
kis kis ko aaj roiye kya kya gaya nahin
kahte hain log ghar koi luTa gaya nahin
kahte hain jis ko hasil-e-bahbudi-e-hayat
aisa koi sawal uThaya gaya nahin
mera bhi zikr-e-KHair ho har bazm-e-naz mein
aisa mere nasib mein likkha gaya nahin
wo bhi mera chalan tha ki shiraaza-e-hayat
bikhra kuchh is tarah ki sameTa gaya nahin
ab bhi khanak nahin hai nawed-e-bahaar mein
sehn-e-chaman se KHauf KHizan ka gaya nahin
ab kya karen KHulus-o-murawwat ke tazkire
hirs-o-hawas se dur zamana gaya nahin
har ek qadam pe saya-e-a'mal sath tha
koi 'adam ke shahr mein tanha gaya nahin
main KHud-baKHud bana hun tamashaiyon se puchh
koi mujhe bana ke tamasha gaya nahin
ab aap kya karenge madawa-e-soz-e-gham
manzar to gham ka aap se dekha gaya nahin
jazba-e-sabr-o-shukr mere kaam aa gaya
kya tha jo mere baKHt mein likkha gaya nahin
sach to ye hai nasib muafiq nahin mera
ai 'dard' de ke wo mujhe dhoka gaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.