kis kis ko zer-e-ab hawa ki talash hai
kis kis ko zer-e-āb havā kī talāsh hai
kahtā hai har habāb havā kī talāsh hai
is vāste bigāḌ rahā huuñ ġhazal ko maiñ
ehsās ko ḳharāb havā kī talāsh hai
sar par paḌī huī haiñ zamāne kī saḳhtiyāñ
is gard ko janāb havā kī talāsh hai
har satr-e-zindagī pe hai likkhā huā ghuTan
merā sabhī nisāb havā kī talāsh hai
kab se bhaTak rahā hai mirī chashm-e-habs meñ
kyā tujh ko bhī ai ḳhvāb havā kī talāsh hai
fatvā-garān-e-shahr-e-sitam meñ hameñ 'zamān'
marham du'ā sharāb havā kī talāsh hai
kis kis ko zer-e-ab hawa ki talash hai
kahta hai har habab hawa ki talash hai
is waste bigaD raha hun ghazal ko main
ehsas ko KHarab hawa ki talash hai
sar par paDi hui hain zamane ki saKHtiyan
is gard ko janab hawa ki talash hai
har satr-e-zindagi pe hai likkha hua ghuTan
mera sabhi nisab hawa ki talash hai
kab se bhaTak raha hai meri chashm-e-habs mein
kya tujh ko bhi ai KHwab hawa ki talash hai
fatwa-garan-e-shahr-e-sitam mein hamein 'zaman'
marham du'a sharab hawa ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.