kis ko hai waqt ki puchhe wo haqiqat teri
kis ko hai vaqt ki pūchhe vo haqīqat terī
jāntā kaun nahīñ ab ye musībat terī
ḳhush-nasībī hai jo rahte haiñ tire paas aksar
is bahāne unheñ hotī hai ziyārat terī
terī zulfoñ se koī ġhair ulajhtā hai agar
āñkheñ ho jaatī haiñ tab misl-e-qayāmat terī
mujh ko afsos hai tū ne mujhe samjhā hī nahīñ
mujh ko har moḌ pe pesh aa.ī zarūrat terī
ab to ehsās ye hotā hai ki har pal ai dost
ḳhaak meñ mujh ko milā Dālegī nafrat terī
raaz maiñ terā sañbhālūñgā huuñ zinda jab tak
merī āñkhoñ meñ jo rakkhī hai amānat terī
vo bhī kahtā hai ye 'minhāj' bichhaḌ kar mujh se
ḳhvāb meñ roz nazar aatī hai sūrat terī
kis ko hai waqt ki puchhe wo haqiqat teri
jaanta kaun nahin ab ye musibat teri
KHush-nasibi hai jo rahte hain tere pas aksar
is bahane unhen hoti hai ziyarat teri
teri zulfon se koi ghair ulajhta hai agar
aankhen ho jati hain tab misl-e-qayamat teri
mujh ko afsos hai tu ne mujhe samjha hi nahin
mujh ko har moD pe pesh aai zarurat teri
ab to ehsas ye hota hai ki har pal ai dost
KHak mein mujh ko mila Dalegi nafrat teri
raaz main tera sanbhaalunga hun zinda jab tak
meri aankhon mein jo rakkhi hai amanat teri
wo bhi kahta hai ye 'minhaj' bichhaD kar mujh se
KHwab mein roz nazar aati hai surat teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.