kis ko ḳhabar ye hastī kyā hai kitnī haqīqat kitnā ḳhvāb
dasht-e-fanā meñ hairāñ haiñ sab le kar apnā apnā ḳhvāb
lipTī huī thī ham se kaisī ḳhushbū us kī yādoñ kī
aañkh khulī tab jaanā ham ne dekhā thā ik pyārā ḳhvāb
us ke tasavvur meñ qurbat ke dhoke kitne khaa.e haiñ
paas jo aa.e aisā lage hai aadhī haqīqat puurā ḳhvāb
kho kar us ko yuuñ lagtā hai jaise sab kuchh haar ga.e
ashkoñ se ham joḌ rahe haiñ apnā bikhrā bikhrā ḳhvāb
dukh to yahī hai in bātoñ se tum kitne anjān rahe
dil meñ basā kar tum ko ham ne dekhā kaisā kaisā ḳhvāb
dekh ke is ko jaane aisī 'sayyad' jī kyā baat huī
āñkhoñ kī dahlīz pe ham ne pyaar bharā ik rakkhā ḳhvāb
kis ko KHabar ye hasti kya hai kitni haqiqat kitna KHwab
dasht-e-fana mein hairan hain sab le kar apna apna KHwab
lipTi hui thi hum se kaisi KHushbu us ki yaadon ki
aankh khuli tab jaana hum ne dekha tha ek pyara KHwab
us ke tasawwur mein qurbat ke dhoke kitne khae hain
pas jo aae aisa lage hai aadhi haqiqat pura KHwab
kho kar us ko yun lagta hai jaise sab kuchh haar gae
ashkon se hum joD rahe hain apna bikhra bikhra KHwab
dukh to yahi hai in baaton se tum kitne anjaan rahe
dil mein basa kar tum ko hum ne dekha kaisa kaisa KHwab
dekh ke is ko jaane aisi 'sayyad' ji kya baat hui
aankhon ki dahliz pe hum ne pyar bhara ek rakkha KHwab
Source :
- Book : Ketni Haqeeqat Ketna Khwaab (Pg. 17)
- Author : Sayed Shakeel Desnavi
-
Publication : Adshot Publications,
(2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.