kis ko khoya hai kis ko paya hai
kis ko khoyā hai kis ko paayā hai
bārhā ye ḳhayāl aaya hai
zindagī kī karāhatoñ par bhī
ham ko aaya to pyaar aaya hai
lutf marne meñ hai na jiine meñ
moḌ aisā bhī ek aaya hai
va.ada kar va.ada kuchh to baat bane
kis ne va.ada bhalā nibhāyā hai
aag apnī ho yā parā.ī ho
apne ashkoñ se ḳhud bujhāyā hai
zindagī kī siyāh rātoñ ko
terī yādoñ se jagmagāyā hai
bojh uThtā nahīñ hai kyā kahiye
ham ne sau sau tarah uThāyā hai
kārvāñ hai na kārvāñ kā ġhubār
ḳhizr ne gul ye kyā khilāyā hai
ham ne 'hasrat' sukūn kī ḳhātir
dushmanoñ ko gale lagāyā hai
kis ko khoya hai kis ko paya hai
barha ye KHayal aaya hai
zindagi ki karahaton par bhi
hum ko aaya to pyar aaya hai
lutf marne mein hai na jine mein
moD aisa bhi ek aaya hai
wada kar wada kuchh to baat bane
kis ne wada bhala nibhaya hai
aag apni ho ya parai ho
apne ashkon se KHud bujhaya hai
zindagi ki siyah raaton ko
teri yaadon se jagmagaya hai
bojh uThta nahin hai kya kahiye
hum ne sau sau tarah uThaya hai
karwan hai na karwan ka ghubar
KHizr ne gul ye kya khilaya hai
hum ne 'hasrat' sukun ki KHatir
dushmanon ko gale lagaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.