kis ko kis ka sath nibhana hota hai
kis ko kis kā saath nibhānā hotā hai
vaqt kī rau kā sirf bahānā hotā hai
pahle ek tajassus bantā hai ham ko
phir hālāt kā tānā-bānā hotā hai
maiñ bachchoñ kī bāteñ ġhaur se suntā huuñ
in bātoñ se zehn siyānā hotā hai
dhaḌkan to bas siine kā dil rakhtī hai
dil kā koī aur Thikānā hotā hai
ek haqīqat kī bas ek jhalak ke liye
kitne ḳhvāboñ ko Takrānā hotā hai
ham jal kar atrāf ko raushan karte haiñ
un ko bas khiḌkī tak aanā hotā hai
kis ko kis ka sath nibhana hota hai
waqt ki rau ka sirf bahana hota hai
pahle ek tajassus banta hai hum ko
phir haalat ka tana-bana hota hai
main bachchon ki baaten ghaur se sunta hun
in baaton se zehn siyana hota hai
dhaDkan to bas sine ka dil rakhti hai
dil ka koi aur Thikana hota hai
ek haqiqat ki bas ek jhalak ke liye
kitne KHwabon ko Takrana hota hai
hum jal kar atraf ko raushan karte hain
un ko bas khiDki tak aana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.