kis ko malum ki wo log kahan rahte hain
kis ko mālūm ki vo log kahāñ rahte haiñ
terī dhun meñ jo shab-o-roz ravāñ rahte haiñ
jo fasāne sabaq-āmoz jahāñ rahte haiñ
tā-dam-e-marg vahī vird-e-zabāñ rahte haiñ
talḳhī-e-ġham hī sahī talḳhī-e-ayyām sahī
gāmzan ham ba-rah-e-zinda-dilāñ rahte haiñ
be-zabānī pe na jā apnī ki majzūb sahī
ḳhud-farāmosh haqīqat-nigarāñ rahte haiñ
terī mahfil meñ charāġhoñ kī zarūrat kyā hai
ġham ke sho.ale to sar-e-shām javāñ rahte haiñ
mausam-e-gul meñ bhī ham ahl-e-junūñ zindāñ meñ
be-niyāz-e-ḳhabar-e-sūd-o-ziyāñ rahte haiñ
kis ko malum ki wo log kahan rahte hain
teri dhun mein jo shab-o-roz rawan rahte hain
jo fasane sabaq-amoz jahan rahte hain
ta-dam-e-marg wahi wird-e-zaban rahte hain
talKHi-e-gham hi sahi talKHi-e-ayyam sahi
gamzan hum ba-rah-e-zinda-dilan rahte hain
be-zabani pe na ja apni ki majzub sahi
KHud-faramosh haqiqat-nigaran rahte hain
teri mahfil mein charaghon ki zarurat kya hai
gham ke shoale to sar-e-sham jawan rahte hain
mausam-e-gul mein bhi hum ahl-e-junun zindan mein
be-niyaz-e-KHabar-e-sud-o-ziyan rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.