kis ko malum tha ek roz ki yun hona tha
kis ko ma.alūm thā ik roz ki yuuñ honā thā
mustaqil zabt kā anjām junūñ honā thā
umr bhar ziist ke kāġhaz pe mashaqqat likhnā
ya.anī ik shaḳhs kā is tarah bhī ḳhuuñ honā thā
be-hisī miltī mujhe shahr meñ jiine ke liye
yā mirā dast-e-hunar dast-e-fusūñ honā thā
fāsla qurb kī saa.at meñ simaT saktā thā
sar jhukā thā to tirā dil bhī nigūñ honā thā
bunte rahnā thā 'ra.īs' aas ke tāne-bāne
kuchh to jiine ke liye vaj.h-e-sukūñ honā thā
kis ko malum tha ek roz ki yun hona tha
mustaqil zabt ka anjam junun hona tha
umr bhar zist ke kaghaz pe mashaqqat likhna
yani ek shaKHs ka is tarah bhi KHun hona tha
be-hisi milti mujhe shahr mein jine ke liye
ya mera dast-e-hunar dast-e-fusun hona tha
fasla qurb ki saat mein simaT sakta tha
sar jhuka tha to tera dil bhi nigun hona tha
bunte rahna tha 'rais' aas ke tane-bane
kuchh to jine ke liye wajh-e-sukun hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.