kis ko raushan bana rahe ho tum
kis ko raushan banā rahe ho tum
itnā jo bujhte jā rahe ho tum
log pāgal banā.e jā chuke haiñ
ab nayā kyā banā rahe ho tum
gaañv kī jhāḌiyāñ batā rahī haiñ
shahr meñ gul khilā rahe ho tum
ek to ham udaas haiñ us par
shā.iroñ ko bulā rahe ho tum
aur kis ne tumheñ nahīñ dekhā
aur kis ke ḳhudā rahe ho tum
phuul kis ne qubūl karne haiñ
jab talak muskurā rahe ho tum
kis ko raushan bana rahe ho tum
itna jo bujhte ja rahe ho tum
log pagal banae ja chuke hain
ab naya kya bana rahe ho tum
ganw ki jhaDiyan bata rahi hain
shahr mein gul khila rahe ho tum
ek to hum udas hain us par
shairon ko bula rahe ho tum
aur kis ne tumhein nahin dekha
aur kis ke KHuda rahe ho tum
phul kis ne qubul karne hain
jab talak muskura rahe ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.