Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ko sada karun ki koi ham-nawa nahin

Taqi Abedi

kis ko sada karun ki koi ham-nawa nahin

Taqi Abedi

kis ko sadā karūñ ki koī ham-navā nahīñ

kis moḌ par khaḌā huuñ mujhe ḳhud pata nahīñ

itnā girāyā mujh ko ġham-e-rozgār ne

maiñ āsmān ke bhī barābar rahā nahīñ

vo āñsuoñ meñ mujh ko bahā kar chale ga.e

sailāb merī aañkh lekin rukā nahīñ

nūr-e-nazar ban gayā ab āñsuoñ taar

āñkhoñ se terā naqsh judā to huā nahīñ

ahbāb aa ga.e haiñ 'taqī' dafn ke liye

kis ne kahā ki dost tire bā-vafā nahīñ

kis ko sada karun ki koi ham-nawa nahin

kis moD par khaDa hun mujhe KHud pata nahin

itna giraya mujh ko gham-e-rozgar ne

main aasman ke bhi barabar raha nahin

wo aansuon mein mujh ko baha kar chale gae

sailab meri aankh ka lekin ruka nahin

nur-e-nazar hi ban gaya ab aansuon ka tar

aankhon se tera naqsh juda to hua nahin

ahbab aa gae hain 'taqi' dafn ke liye

kis ne kaha ki dost tere ba-wafa nahin

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now