kis ko sauda tera a zulf-e-pareshan hoga
kis ko sauda tera a zulf-e-pareshan hoga
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
kis ko saudā tirā a zulf-e-pareshāñ hogā
kaun pāband-e-balā-e-shab-e-hijrāñ hogā
saaf burqe se ayaañ āriz-e-tābāñ hogā
ye vo hai chāñd jo badlī meñ numāyāñ hogā
yaad rahtī hai tire mus.haf-e-āriz kī sadā
mujh se kyā baḌh ke koī hāfiz-e-qurāñ hogā
jauharī tere laboñ se jo milā kar dekheñ
saaf be-āb har ik lāl-e-badaḳhshāñ hogā
kāvish-e-dasht-e-junūñ hai mire qadmoñ ko pasand
ab na talvoñ se judā ḳhār-e-muġhīlāñ hogā
kis ko sauda tera a zulf-e-pareshan hoga
kaun paband-e-bala-e-shab-e-hijran hoga
saf burqe se ayan aariz-e-taban hoga
ye wo hai chand jo badli mein numayan hoga
yaad rahti hai tere mushaf-e-ariz ki sada
mujh se kya baDh ke koi hafiz-e-quran hoga
jauhari tere labon se jo mila kar dekhen
saf be-ab har ek lal-e-badaKHshan hoga
kawish-e-dasht-e-junun hai mere qadmon ko pasand
ab na talwon se juda KHar-e-mughilan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.