kis ko sunaen aur kahen kya kisi se hum
kis ko sunā.eñ aur kaheñ kyā kisī se ham
sab kuchh luTā ke baiTh ga.e haiñ abhī se ham
apnī hī kuchh ḳhabar hai na duniyā se vāsta
rahte haiñ sab ke saath magar ajnabī se ham
yuuñ to charāġh ham ne bahut se jalā.e the
mahrūm phir bhī rahte rahe raushnī se ham
asrār-e-husn-o-ishq ko zāhir bhī kyoñ kareñ
kahne kī baat ho to kaheñ har kisī se ham
har sher apnā ā.ina-e-husn-o-ishq hai
bas lutf lete rahte haiñ ab shā.irī se ham
pahle zabān-e-ġhair meñ karte the shā.irī
urdu meñ sher kahte haiñ ab āgahī se ham
dil itnā bujh gayā hai ġhamoñ se ki ai 'azīz'
jiine ko jī rahe haiñ magar be-dilī se ham
kis ko sunaen aur kahen kya kisi se hum
sab kuchh luTa ke baiTh gae hain abhi se hum
apni hi kuchh KHabar hai na duniya se wasta
rahte hain sab ke sath magar ajnabi se hum
yun to charagh hum ne bahut se jalae the
mahrum phir bhi rahte rahe raushni se hum
asrar-e-husn-o-ishq ko zahir bhi kyon karen
kahne ki baat ho to kahen har kisi se hum
har sher apna aaina-e-husn-o-ishq hai
bas lutf lete rahte hain ab shairi se hum
pahle zaban-e-ghair mein karte the shairi
urdu mein sher kahte hain ab aagahi se hum
dil itna bujh gaya hai ghamon se ki ai 'aziz'
jine ko ji rahe hain magar be-dili se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.