Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis liye chup hun wazahat bhi nahin kar sakta

Rana Mohammad Yusuf

kis liye chup hun wazahat bhi nahin kar sakta

Rana Mohammad Yusuf

MORE BYRana Mohammad Yusuf

    kis liye chup huuñ vazāhat bhī nahīñ kar saktā

    maiñ mohabbat meñ shikāyat bhī nahīñ kar saktā

    ek ik kar ke parindoñ ne to hijrat kar

    peḌ huuñ peḌ to hijrat bhī nahīñ kar saktā

    kyā mujhe saañs bhī lene ijāzat nahīñ hai

    kyā maiñ ik aur mohabbat bhī nahīñ kar saktā

    kyā zamāna hai ki is ahd-e-ziyāñ meñ koī shaḳhs

    apne bachchoñ ko nasīhat bhī nahīñ kar saktā

    kaun ḳhauf rag-o-pai meñ samāyā hai ki ab

    maiñ burā.ī mazammat bhī nahīñ kar saktā

    ab kisī ashk ko kyā aañkh meñ rakkhā jaa.e

    ashk jo ġham hifāzat bhī nahīñ kar saktā

    sāmnā ho to zabāñ dil nahīñ detī saath

    kuchh batāne maiñ himmat bhī nahīñ kar saktā

    sāneha ye hai use mujh se judā honā hai

    aur sitam ye ki maiñ ruḳhsat bhī nahīñ kar saktā

    kis liye chup hun wazahat bhi nahin kar sakta

    main mohabbat mein shikayat bhi nahin kar sakta

    ek ek kar ke parindon ne to hijrat kar li

    peD hun peD to hijrat bhi nahin kar sakta

    kya mujhe sans bhi lene ki ijazat nahin hai

    kya main ek aur mohabbat bhi nahin kar sakta

    kya zamana hai ki is ahd-e-ziyan mein koi shaKHs

    apne bachchon ko nasihat bhi nahin kar sakta

    kaun sa KHauf rag-o-pai mein samaya hai ki ab

    main burai ki mazammat bhi nahin kar sakta

    ab kisi ashk ko kya aankh mein rakkha jae

    ashk jo gham ki hifazat bhi nahin kar sakta

    samna ho to zaban dil ka nahin deti sath

    kuchh batane ki main himmat bhi nahin kar sakta

    saneha ye hai use mujh se juda hona hai

    aur sitam ye ki main ruKHsat bhi nahin kar sakta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now