kis liye jaante hain ghar ko ye be-ghar saya
kis liye jānte haiñ ghar ko ye be-ghar saaya
jab falak aap kiye baiThā hai un par saaya
baaqī mar kar bhī rahā hijr kā mujh par saaya
dhuup andar mirī turbat ke hai bāhar saaya
ye bhī muḳhbir na kahīñ ġhair kā hove hushiyār
pīchhā kartā hai dam-e-vasl barābar saaya
uf re saḳhtī shab-e-hijrāñ kī agar aañkh lage
bain uTh uTh ke kiyā kartā hai shab bhar saaya
ye kisī jin kā nahīñ shaiḳh ki utre tum se
ham liye phirte haiñ ik huur kā ḳhud par saaya
kyoñ na is darja ho 'hāris' kī zabāñ meñ garmī
ḳhud shah-e-mulk-e-suḳhan ne kiyā un par saaya
kis liye jaante hain ghar ko ye be-ghar saya
jab falak aap kiye baiTha hai un par saya
baqi mar kar bhi raha hijr ka mujh par saya
dhup andar meri turbat ke hai bahar saya
ye bhi muKHbir na kahin ghair ka howe hushiyar
pichha karta hai dam-e-wasl barabar saya
uf re saKHti shab-e-hijran ki agar aankh lage
bain uTh uTh ke kiya karta hai shab bhar saya
ye kisi jin ka nahin shaiKH ki utre tum se
hum liye phirte hain ek hur ka KHud par saya
kyon na is darja ho 'haaris' ki zaban mein garmi
KHud shah-e-mulk-e-suKHan ne kiya un par saya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.