kis liye jashn-e-ana mahfil-e-idrak mein hai
kis liye jashn-e-anā mahfil-e-idrāk meñ hai
merī tārīḳh mire dāman-e-sad-chāk meñ hai
phir uThā josh-e-junūñ jazba-e-mansūr liye
phir anal-haq kī sadā kūcha-e-saffāk meñ hai
maut anjām hai māhaul hai ġhaflat kā yahāñ
vaqt har lamha shikārī kī tarah taak meñ hai
fat.h-e-taqdīr kā e.ajāz samajhne vaale
fat.h poshīda tirī jur.at-e-be-bāk meñ hai
kis liye jashn-e-ana mahfil-e-idrak mein hai
meri tariKH mere daman-e-sad-chaak mein hai
phir uTha josh-e-junun jazba-e-mansur liye
phir anal-haq ki sada kucha-e-saffak mein hai
maut anjam hai mahaul hai ghaflat ka yahan
waqt har lamha shikari ki tarah tak mein hai
fath-e-taqdir ka eajaz samajhne wale
fath poshida teri jurat-e-be-bak mein hai
- Book : Mauj-e-Sarab (Pg. 97)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Rehbar Jaunpuri (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.