kis liye phirta hun tanha na kisi ne puchha
kis liye phirtā huuñ tanhā na kisī ne pūchhā
kyuuñ kahīñ jī nahīñ lagtā na kisī ne pūchhā
zehn āvāra dil āvāra nazar āvāra
kaise is haal ko pahuñchā na kisī ne pūchhā
kaun hai aayā hai kis des se kis se milne
sab ne dekhā magar itnā na kisī ne pūchhā
jaane kyā kahte agar pūchhtā ahvāl koī
ḳhair ye bhī huā achchhā na kisī ne pūchhā
be-ta.alluq hue 'rūhī' ajab andāz se log
kis pe kyā hādsa guzrā na kisī ne pūchhā
kis liye phirta hun tanha na kisi ne puchha
kyun kahin ji nahin lagta na kisi ne puchha
zehn aawara dil aawara nazar aawara
kaise is haal ko pahuncha na kisi ne puchha
kaun hai aaya hai kis des se kis se milne
sab ne dekha magar itna na kisi ne puchha
jaane kya kahte agar puchhta ahwal koi
KHair ye bhi hua achchha na kisi ne puchha
be-talluq hue 'ruhi' ajab andaz se log
kis pe kya hadsa guzra na kisi ne puchha
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 216)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.