kis mein hai ye majal teri aag se pare
kis meñ hai ye majāl tirī aag se pare
Daale koī dhamāl tirī aag se pare
jaise koī charāġh bichhaḌ jaa.e nuur se
merī vahī misāl tirī aag se pare
mujh ko parā.ī dhuup bhī bhaḌkā nahīñ sakī
aaya nahīñ ubaal tirī aag se pare
tā-umr tujh alaav ko rakkhūñgā mushta.il
guzre haiñ kitne saal tirī aag se pare
raushan hai sham.a-gāh-e-badan meñ chahār-sū
bujhne kā ehtimāl tirī aag se pare
miltā nahīñ kisī se mirī aag kā mizāj
rahtā huuñ pur-malāl tirī aag se pare
detā hai kaun aag parā.e charāġh ko
jalnā huā muhāl tirī aag se pare
ab jā ke merī raakh se chingāriyāñ talāsh
ye ishq thā vabāl tirī aag se pare
phirtā huuñ sahn-e-dasht meñ ātash-bajāñ magar
mujh pe rahā zavāl tirī aag se pare
mujh ko dhueñ kī dhund ne dhuñdlā ke rakh diyā
aa.egā kyoñ jamāl tirī aag se pare
tārīḳh kah rahī hai na.ī paud ke 'munīr'
kachche haiñ ḳhadd-o-ḳhāl tirī aag se pare
kis mein hai ye majal teri aag se pare
Dale koi dhamal teri aag se pare
jaise koi charagh bichhaD jae nur se
meri wahi misal teri aag se pare
mujh ko parai dhup bhi bhaDka nahin saki
aaya nahin ubaal teri aag se pare
ta-umr tujh alaw ko rakkhunga mushtail
guzre hain kitne sal teri aag se pare
raushan hai shama-gah-e-badan mein chahaar-su
bujhne ka ehtimal teri aag se pare
milta nahin kisi se meri aag ka mizaj
rahta hun pur-malal teri aag se pare
deta hai kaun aag parae charagh ko
jalna hua muhaal teri aag se pare
ab ja ke meri rakh se chingariyan talash
ye ishq tha wabaal teri aag se pare
phirta hun sahn-e-dasht mein aatash-bajaan magar
mujh pe raha zawal teri aag se pare
mujh ko dhuen ki dhund ne dhundla ke rakh diya
aaega kyon jamal teri aag se pare
tariKH kah rahi hai nai paud ke 'munir'
kachche hain KHadd-o-KHal teri aag se pare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.