kis mein KHubi hai jalane mein ki jal jaane hain
kis mein KHubi hai jalane mein ki jal jaane hain
Raj Bahadur Saxena Auj
MORE BYRaj Bahadur Saxena Auj
kis meñ ḳhūbī hai jalāne meñ ki jal jaane haiñ
sham.a meñ soz ziyāda hai ki parvāne meñ
lazzat-e-dard ko ik ḳhaar mayassar na huā
dil kā kāñTā na nikālā gayā vīrāne meñ
mere pur-dard bayāñ ne mujhe marne na diyā
maut ko niiñd sī aa.ī mire afsāne meñ
āb-e-kausar to na thā chashm-e-siyah meñ terī
paḌ ga.ī jaan tujhe dekh ke dīvāne meñ
haq-parastī mirī ka.abe se sadā detī hai
dil meñ kar yaad ḳhudā baiTh ke but-ḳhāne meñ
ġham ġhalat kartā huuñ pī pī ke jigar ke aañsū
shabnamī mai hai mirī aañkh ke paimāne meñ
mujh ko jab sāqī-e-maġhrūr ne sāġhar na diyā
'auj' aañsū nikal aa.e mire maiḳhāne meñ
kis mein KHubi hai jalane mein ki jal jaane hain
shama mein soz ziyaada hai ki parwane mein
lazzat-e-dard ko ek KHar mayassar na hua
dil ka kanTa na nikala gaya virane mein
mere pur-dard bayan ne mujhe marne na diya
maut ko nind si aai mere afsane mein
aab-e-kausar to na tha chashm-e-siyah mein teri
paD gai jaan tujhe dekh ke diwane mein
haq-parasti meri kabe se sada deti hai
dil mein kar yaad KHuda baiTh ke but-KHane mein
gham ghalat karta hun pi pi ke jigar ke aansu
shabnami mai hai meri aankh ke paimane mein
mujh ko jab saqi-e-maghrur ne saghar na diya
'auj' aansu nikal aae mere maiKHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.