Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis munh se kahen gunah kya hain

Wazir Ali Saba Lakhnavi

kis munh se kahen gunah kya hain

Wazir Ali Saba Lakhnavi

MORE BYWazir Ali Saba Lakhnavi

    kis muñh se kaheñ gunāh kyā haiñ

    tauba hai rū-siyāh kyā haiñ

    allāh hai afv karne vaalā

    maiñ kyā huuñ mire gunāh kyā haiñ

    ai dost tire gadā ke aage

    kuchh bhī nahīñ bādshāh kyā haiñ

    tum koī bad-chalan na hogā

    hai hai āshiq tabāh kyā haiñ

    gorī gorī hai un sūrat

    us par gesū-e-siyāh kyā haiñ

    chakkar maiñ haiñ shaiḳh-o-gabr dono

    apne liye ḳhud tabāh kyā haiñ

    dekhe koī hāl-e-ahl-e-duniyā

    ye log bhī vaah vaah kyā haiñ

    utreñ un se muqāble ko

    aflāk pe mehr-o-māh kyā haiñ

    dhūmeñ teġh-e-nigāh haiñ

    tevar ai kaj-kulāh kyā haiñ

    shāhid haiñ tire sitam ke lākhoñ

    do-chār us ke gavāh kyā haiñ

    allāh re un butoñ āñkheñ

    kāfir jaadū nigāh kyā haiñ

    kaT jā.egī umr-e-chand-roza

    fikreñ shām-o-pagāh kyā haiñ

    un to javāb nahīñ hai

    māshā-allāh vaah kyā haiñ

    ai dil ulfat ke mahkame meñ

    qaazī kyā hai gavāh kyā haiñ

    dil hai to ziyāda us se hoñge

    ye nāla-o-ashk-o-āh kyā haiñ

    pahlū meñ nigār haath meñ jaam

    is vaqt to bādshāh kyā haiñ

    un aamad jo ai 'sabā' hai

    sab matlab rū-ba-rāh kyā haiñ

    kis munh se kahen gunah kya hain

    tauba hai ru-siyah kya hain

    allah hai afw karne wala

    main kya hun mere gunah kya hain

    ai dost tere gada ke aage

    kuchh bhi nahin baadshah kya hain

    tum sa koi bad-chalan na hoga

    hai hai aashiq tabah kya hain

    gori gori hai un ki surat

    us par gesu-e-siyah kya hain

    chakkar main hain shaiKH-o-gabr dono

    apne liye KHud tabah kya hain

    dekhe koi haal-e-ahl-e-duniya

    ye log bhi wah wah kya hain

    utren un se muqable ko

    aflak pe mehr-o-mah kya hain

    dhumen tegh-e-nigah ki hain

    tewar ai kaj-kulah kya hain

    shahid hain tere sitam ke lakhon

    do-chaar us ke gawah kya hain

    allah re un buton ki aankhen

    kafir jadu nigah kya hain

    kaT jaegi umr-e-chand-roza

    fikren sham-o-pagah kya hain

    un ka to jawab hi nahin hai

    masha-allah wah kya hain

    ai dil ulfat ke mahkame mein

    qazi kya hai gawah kya hain

    dil hai to ziyaada us se honge

    ye nala-o-ashk-o-ah kya hain

    pahlu mein nigar hath mein jam

    is waqt to baadshah kya hain

    un ki aamad jo ai 'saba' hai

    sab matlab ru-ba-rah kya hain

    Source :
    • Ghuncha-e-Arzu
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now