kis nam se pukar rahi hai saba use
kis naam se pukār rahī hai sabā use
chashm-e-hayā samajhtī hai jān-e-hayā use
phūloñ ke kis qabīle meñ us kā shumār hai
kyā baat kah ga.ī hai chaman kī havā use
devī vo shā.irī kī mire man meñ bas ga.ī
mauzū-e-sher banñā kuchh achchhā lagā use
apnī qabā-e-jāñ hai so vo taar taar hai
vo gul-numā hai pesh karūñ kyā ridā use
raushan rahe vo chehra hamesha kañval-sifat
yārab lage hamārī nazar kī duā use
kis nam se pukar rahi hai saba use
chashm-e-haya samajhti hai jaan-e-haya use
phulon ke kis qabile mein us ka shumar hai
kya baat kah gai hai chaman ki hawa use
dewi wo shairi ki mere man mein bas gai
mauzu-e-sher banna kuchh achchha laga use
apni qaba-e-jaan hai so wo tar tar hai
wo gul-numa hai pesh karun kya rida use
raushan rahe wo chehra hamesha kanwal-sifat
yarab lage hamari nazar ki dua use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.