kis ne badla naqsh-e-kohna dahr ki taswir ka
kis ne badlā naqsh-e-kohna dahr kī tasvīr kā
ye mukāfāt-e-'amal hai yā likhā taqdīr kā
jo kahoge dil pe likkhā jā.egā par dekhnā
harf tak miTtā nahīñ dil par likhī tahrīr kā
dāstān-e-'ishq merī hai zamāne se judā
qissa-e-lailā na hī koī fasāna hiir kā
maiñ asīr-e-zulf-e-jānāñ mujh ko āzādī kahāñ
silsila-dar-silsila hai silsila zanjīr kā
jis taraf dekheñ jamāl-e-yār hai jalva-faroz
ā.ina-dar-ā.ina 'aks ek hī tasvīr kā
ai dil-e-sad-chāk afsurda-o-pazhmurda na ho
hasratoñ ke din ga.e ab vaqt hai tā'mīr kā
qāfiya-paimā.iyāñ maqsūd-e-tuk-bandī nahīñ
dil meñ hai ik 'azm tere naam kī tash.hīr kā
kis ne badla naqsh-e-kohna dahr ki taswir ka
ye mukafat-e-'amal hai ya likha taqdir ka
jo kahoge dil pe likkha jaega par dekhna
harf tak miTta nahin dil par likhi tahrir ka
dastan-e-'ishq meri hai zamane se juda
qissa-e-laila na hi koi fasana hir ka
main asir-e-zulf-e-jaanan mujh ko aazadi kahan
silsila-dar-silsila hai silsila zanjir ka
jis taraf dekhen jamal-e-yar hai jalwa-faroz
aaina-dar-aina 'aks ek hi taswir ka
ai dil-e-sad-chaak afsurda-o-pazhmurda na ho
hasraton ke din gae ab waqt hai ta'mir ka
qafiya-paimaiyan maqsud-e-tuk-bandi nahin
dil mein hai ek 'azm tere nam ki tashhir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.