kis ne dekhe honge ab tak aise nae nirale patthar
kis ne dekhe hoñge ab tak aise na.e nirāle patthar
maiñ ne apne tāj-mahal meñ chunvā.e haiñ kaale patthar
jo hīroñ ke ruup meñ dar dar apne aañsū baañT rahe haiñ
un fan-kāroñ par pheñkeñge kab tak duniyā vaale patthar
jaane kaun the jin ko jīvan-rut se bhiik milī rañgoñ kī
apnī suunī jholī meñ to phūloñ ne bhī Daale patthar
maqtal kī be-rahm fasīleñ sar tak aa pahuñchī haiñ āḳhir
mere jism kī dīvāroñ se ab to koī haTā le patthar
pyaar tumhārā jhūTā hai aur jhūTā hai bhagvān bhī shāyad
varna kuchh to kahte būḌhe mandir ke rakhvāle patthar
apne apne naam ke ujle shīsh-mahal kī ḳhair manāo
har shohrat kī muTThī meñ haiñ rusvā.ī ke kaale patthar
ai dhanvāno tum kyā jaano zauq-e-ibādat qadr-e-parstish
tum sab hiire motī le lo kar do mire havāle patthar
'prem' is yug kī sāl-girah par aur bhalā kyā tohfa dete
chāñd kī dilkash dhartī se bhī ham ne DhūñDh nikāle patthar
kis ne dekhe honge ab tak aise nae nirale patthar
main ne apne taj-mahal mein chunwae hain kale patthar
jo hiron ke rup mein dar dar apne aansu banT rahe hain
un fan-karon par phenkenge kab tak duniya wale patthar
jaane kaun the jin ko jiwan-rut se bhik mili rangon ki
apni suni jholi mein to phulon ne bhi Dale patthar
maqtal ki be-rahm fasilen sar tak aa pahunchi hain aaKHir
mere jism ki diwaron se ab to koi haTa le patthar
pyar tumhaara jhuTa hai aur jhuTa hai bhagwan bhi shayad
warna kuchh to kahte buDhe mandir ke rakhwale patthar
apne apne nam ke ujle shish-mahal ki KHair manao
har shohrat ki muTThi mein hain ruswai ke kale patthar
ai dhanwano tum kya jaano zauq-e-ibaadat qadr-e-parstish
tum sab hire moti le lo kar do mere hawale patthar
'prem' is yug ki sal-girah par aur bhala kya tohfa dete
chand ki dilkash dharti se bhi hum ne DhunDh nikale patthar
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 167)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.