kis ne dekhi hai bahaaron mein KHizan mere siwa
kis ne dekhī hai bahāroñ meñ ḳhizāñ mere sivā
kaun kar saktā hai ye qissa bayāñ mere sivā
kis ko mālūm hai sahrā kī havāoñ kā mizāj
ret par kaun banā.egā makāñ mere sivā
sab faqīrān-e-shab-e-hijr vatan chhoḌ ga.e
kaun ab degā bayābāñ meñ azaañ mere sivā
thapkiyāñ kaun sar-e-dasht mujhe detā hai
kyā koī aur bhī rahtā hai yahāñ mere sivā
ek ik zaḳhm mire ashk se ye kahte rahe
ab koī aur na ho naqsh-ayāñ mere sivā
is na.e shahr kī is bhiiḌ meñ ai hazrat-e-ishq
jāntā kaun hai ab tum ko miyāñ mere sivā
kis ne dekhi hai bahaaron mein KHizan mere siwa
kaun kar sakta hai ye qissa bayan mere siwa
kis ko malum hai sahra ki hawaon ka mizaj
ret par kaun banaega makan mere siwa
sab faqiran-e-shab-e-hijr watan chhoD gae
kaun ab dega bayaban mein azan mere siwa
thapkiyan kaun sar-e-dasht mujhe deta hai
kya koi aur bhi rahta hai yahan mere siwa
ek ek zaKHm mere ashk se ye kahte rahe
ab koi aur na ho naqsh-ayan mere siwa
is nae shahr ki is bhiD mein ai hazrat-e-ishq
jaanta kaun hai ab tum ko miyan mere siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.