kis ne di mujhko sada kaun-o-makan ke us taraf
kis ne dī mujh ko sadā kaun-o-makāñ ke us taraf
muntazir hai kaun merā āsmāñ ke us taraf
jaane kab donoñ mileñ aapas meñ sāyoñ kī tarah
do musāfir chal rahe haiñ kahkashāñ ke us taraf
tai kiyā maiñ ne safar jaldī ki maiñ jaldī meñ thā
rah gayā saaya mirā donoñ jahāñ ke us taraf
ik na ik sar par rahegā jitnā maiñ ūñchā gayā
āsmāñ kuchh aur bhī haiñ āsmāñ ke us taraf
paar utrūñgā to vo mujh ko uThā le jā.egā
ek sahrā ḳhushk bahr-e-be-karāñ ke us taraf
koī sargoshī-numā āvāz bhī aatī nahīñ
kitnī gahrī ḳhāmushī hai lā-makāñ ke us taraf
kis ne di mujh ko sada kaun-o-makan ke us taraf
muntazir hai kaun mera aasman ke us taraf
jaane kab donon milen aapas mein sayon ki tarah
do musafir chal rahe hain kahkashan ke us taraf
tai kiya main ne safar jaldi ki main jaldi mein tha
rah gaya saya mera donon jahan ke us taraf
ek na ek sar par rahega jitna main uncha gaya
aasman kuchh aur bhi hain aasman ke us taraf
par utrunga to wo mujh ko uTha le jaega
ek sahra KHushk bahr-e-be-karan ke us taraf
koi sargoshi-numa aawaz bhi aati nahin
kitni gahri KHamushi hai la-makan ke us taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.