kis ne kaha minnat-kash-e-mai-KHana hua hun
kis ne kahā minnat-kash-e-mai-ḳhāna huā huuñ
apnā hī lahū piitā huuñ dīvāna huā huuñ
har raat tilismāt ke qissoñ kā huuñ kirdār
har roz alif-lailvī afsāna huā huuñ
apnoñ ke diloñ meñ huuñ huuñ auroñ kī zabāñ par
duniyā ke liye maiñ kahāñ begāna huā huuñ
Thahrā huuñ gadā ik nigah-e-vaqt meñ lekin
apne liye to azmat-e-shāhāna huā huuñ
vo haiñ ki sitam toḌte haiñ saare mujhī par
aur maiñ huuñ ki bas sabr kā paimāna huā huuñ
vo maañ jo sarāpā thiiñ mohabbat na rahīñ ab
haañ maiñ usī maañ ke liye dīvāna huā huuñ
barsoñ se shanāsā rahe jin ke liye 'shāġhil'
kyoñ aaj maiñ un ke liye an-jānā huā huuñ
kis ne kaha minnat-kash-e-mai-KHana hua hun
apna hi lahu pita hun diwana hua hun
har raat tilismat ke qisson ka hun kirdar
har roz alif-lailwi afsana hua hun
apnon ke dilon mein hun hun auron ki zaban par
duniya ke liye main kahan begana hua hun
Thahra hun gada ek nigah-e-waqt mein lekin
apne liye to azmat-e-shahana hua hun
wo hain ki sitam toDte hain sare mujhi par
aur main hun ki bas sabr ka paimana hua hun
wo man jo sarapa thin mohabbat na rahin ab
han main usi man ke liye diwana hua hun
barson se shanasa rahe jin ke liye 'shaghil'
kyon aaj main un ke liye an-jaana hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.