kis ne khinchi manzaron par bad-hawasi ki lakir
kis ne khīñchī manzaroñ par bad-havāsī kī lakīr
har taraf chhāne lagī gahrī udāsī kī lakīr
apne apne kaase sab ahbāb le kar jā chuke
kaun paḌhtā hai laboñ se ek pyāsī kī lakīr
in dinoñ rahm-o-karam hai mausam-e-bārāñ kā kyā
phailtī hī jā rahī hai bad-qayāsī kī lakīr
apnī qismat meñ safar kā āb-o-dāna saath hai
ghar se le kar ham chale raḳht-e-asāsī kī lakīr
ahd-e-nau ke saf.ha-e-qirtās par qurbān ab
ug ga.ī har samt ik shaḳhs-e-siyāsī kī lakīr
kis ne khinchi manzaron par bad-hawasi ki lakir
har taraf chhane lagi gahri udasi ki lakir
apne apne kase sab ahbab le kar ja chuke
kaun paDhta hai labon se ek pyasi ki lakir
in dinon rahm-o-karam hai mausam-e-baran ka kya
phailti hi ja rahi hai bad-qayasi ki lakir
apni qismat mein safar ka aab-o-dana sath hai
ghar se le kar hum chale raKHt-e-asasi ki lakir
ahd-e-nau ke safha-e-qirtas par qurban ab
ug gai har samt ek shaKHs-e-siyasi ki lakir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.