kis ne ki baat abhi kaun shanasa nikla
kis ne ki baat abhi kaun shanasa nikla
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
kis ne kī baat abhī kaun shanāsā niklā
yaad aayā to mirā apnā hī chehra niklā
garmī-e-zīst nahīñ aaj muqaddar meñ mire
aaj sūraj bhī jo niklā to adhūrā niklā
lauT jaane meñ lageñge mujhe barsoñ shāyad
ye samundar to mirī soch se gahrā niklā
jism to le gayā vo raat meñ chorī kar ke
sub.h bistar se mire jism kā ḳhāka niklā
zahmat-e-nutq se yuuñ bach ga.e donoñ āḳhir
maiñ hī gūñgā na thā vo shaḳhs bhī bahrā niklā
kis ne ki baat abhi kaun shanasa nikla
yaad aaya to mera apna hi chehra nikla
garmi-e-zist nahin aaj muqaddar mein mere
aaj suraj bhi jo nikla to adhura nikla
lauT jaane mein lagenge mujhe barson shayad
ye samundar to meri soch se gahra nikla
jism to le gaya wo raat mein chori kar ke
subh bistar se mere jism ka KHaka nikla
zahmat-e-nutq se yun bach gae donon aaKHir
main hi gunga na tha wo shaKHs bhi bahra nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.