kis ne koi sach likha hai ye faqat ilzam hai
kis ne koī sach likhā hai ye faqat ilzām hai
shā.irī mahrūmiyoñ kā ḳhūbsūrat naam hai
be-ġharaz milne kī saarī mantiqeñ jhūTī haiñ yaar
tū jo aayā hai to ab batlā bhī de kyā kaam hai
ab ke maiḳhāne kī miTTī par koī dhabba nahīñ
riñd haiñ TuuTe hue hāthoñ meñ sābit jaam hai
ne shikoh-e-sarvarī hai ne jamāl-e-dilbarī
dil kisī fir.aun-e-be-sāmān kā ahrām hai
kis ne koi sach likha hai ye faqat ilzam hai
shairi mahrumiyon ka KHubsurat nam hai
be-gharaz milne ki sari mantiqen jhuTi hain yar
tu jo aaya hai to ab batla bhi de kya kaam hai
ab ke maiKHane ki miTTi par koi dhabba nahin
rind hain TuTe hue hathon mein sabit jam hai
ne shikoh-e-sarwari hai ne jamal-e-dilbari
dil kisi firaun-e-be-saman ka ahram hai
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 283)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.