kis ne sada di kaun aaya hai
kis ne sadā dī kaun aayā hai
ai dil tū kyuuñ yuuñ chauñkā hai
aap se mil kar yuuñ lagtā hai
ek hasīñ sapnā dekhā hai
āñkheñ niiñd se kyuuñ haiñ bojhal
ġham kā nasha kuchh TuuT rahā hai
duur nagar ke rahne vaalo
kaun kisī ke paas rahā hai
sab ko hai apnā apnā ġham
kis ne kis kā ġham samjhā hai
yādoñ kī mahfil meñ kho kar
dil apnā tanhā tanhā hai
hastī ke sunsān safar meñ
kis ne kis kā saath diyā hai
āñkheñ khol ke dekhne vaalo
hastī ik sundar sapnā hai
kis ne sada di kaun aaya hai
ai dil tu kyun yun chaunka hai
aap se mil kar yun lagta hai
ek hasin sapna dekha hai
aankhen nind se kyun hain bojhal
gham ka nasha kuchh TuT raha hai
dur nagar ke rahne walo
kaun kisi ke pas raha hai
sab ko hai apna apna gham
kis ne kis ka gham samjha hai
yaadon ki mahfil mein kho kar
dil apna tanha tanha hai
hasti ke sunsan safar mein
kis ne kis ka sath diya hai
aankhen khol ke dekhne walo
hasti ek sundar sapna hai
- Book : Dasht-e-Sada (Pg. 103)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.