kis ne sada lagai ki hairan kar diya
kis ne sadā lagā.ī ki hairān kar diyā
mujh se mirī rihā.ī kā elaan kar diyā
vo to burā hī maan ga.e ham ne jis ghaḌī
un ke diye sharāp ko vardān kar diyā
ab tak tire savāl se hotā thā jī udaas
ab ke mujhe javāb ne halkān kar diyā
bigḌe hue navāb haiñ pahle hī dil miyāñ
aur tum ne in ko ishq kā sultān kar diyā
tere qiyām se rahā ābād shahr-e-dil
hijrat ne terī phir ise vīrān kar diyā
us lā-zavāl husn pe īmān laa.e ham
kāfir kī ik nazar ne musalmān kar diyā
ye mere sang hone se pahle kī baat hai
patthar ko puuj puuj ke bhagvān kar diyā
ro kar kiyā visāl ko pur-lutf aur phir
ḳhush rah ke ham ne hijr kā nuqsān kar diyā
us ne hisār-e-shab kī baḌhā.ī hai chaukasī
ham ne bhī jugnuoñ ko nigahbān kar diyā
sursā sī phailtī huī aadam kī bhuuk ne
jangal miTā.e shahr bayābān kar diyā
kis ne sada lagai ki hairan kar diya
mujh se meri rihai ka elan kar diya
wo to bura hi man gae hum ne jis ghaDi
un ke diye sharap ko wardan kar diya
ab tak tere sawal se hota tha ji udas
ab ke mujhe jawab ne halkan kar diya
bigDe hue nawab hain pahle hi dil miyan
aur tum ne in ko ishq ka sultan kar diya
tere qiyam se raha aabaad shahr-e-dil
hijrat ne teri phir ise viran kar diya
us la-zawal husn pe iman lae hum
kafir ki ek nazar ne musalman kar diya
ye mere sang hone se pahle ki baat hai
patthar ko puj puj ke bhagwan kar diya
ro kar kiya visal ko pur-lutf aur phir
KHush rah ke hum ne hijr ka nuqsan kar diya
us ne hisar-e-shab ki baDhai hai chaukasi
hum ne bhi jugnuon ko nigahban kar diya
sursa si phailti hui aadam ki bhuk ne
jangal miTae shahr bayaban kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.