kis ne socha tha ki is had tak bhi ja sakta hun main
kis ne sochā thā ki is had tak bhī jā saktā huuñ maiñ
maut se bhī 'ishq kā chakkar chalā saktā huuñ maiñ
mujh se achchhā koī aañsū poñchhne vaalā nahīñ
saath rakh le vāpsī meñ kaam aa saktā huuñ maiñ
vaqt ne gūñgā kiyā to hai magar itnā nahīñ
ghar akelā ho to ab bhī gungunā saktā huuñ maiñ
'ishq meñ tū jaan dene kī agar zid chhoḌ de
roz tujh ko ḳhud-kushī karnā sikhā saktā huuñ maiñ
tum se baḌh kar kaun duniyā meñ mire nazdīk hai
ik tumhīñ to ho ki jis kā dil dukhā saktā huuñ maiñ
bhiiḌ kā shikva hamesha dūsroñ se kis liye
yaar ḳhud ko bhī to raste se haTā saktā huuñ maiñ
kis ne socha tha ki is had tak bhi ja sakta hun main
maut se bhi 'ishq ka chakkar chala sakta hun main
mujh se achchha koi aansu ponchhne wala nahin
sath rakh le wapsi mein kaam aa sakta hun main
waqt ne gunga kiya to hai magar itna nahin
ghar akela ho to ab bhi gunguna sakta hun main
'ishq mein tu jaan dene ki agar zid chhoD de
roz tujh ko KHud-kushi karna sikha sakta hun main
tum se baDh kar kaun duniya mein mere nazdik hai
ek tumhin to ho ki jis ka dil dukha sakta hun main
bhiD ka shikwa hamesha dusron se kis liye
yar KHud ko bhi to raste se haTa sakta hun main
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 38)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.