kis ne sunaya aur sunaya to kya suna
kis ne sunāyā aur sunāyā to kyā sunā
suntā huuñ aaj tū ne mirā mājrā sunā
aise se dil kā haal kaheñ bhī to kyā kaheñ
jo be-kahe kahe ki chalo bas sunā sunā
vasl-e-adū kā haal sunāne se fā.eda
allāh rahm kījiye bas bas sunā sunā
qāsid tire sukūt se dil be-qarār hai
kyā us jafā-shi.ār ne tujh se kahā sunā
āḳhir 'hasan' vo ruuTh ga.e uTh ke chal diye
kam-baḳht aur hāl-e-dil-e-mubtalā sunā
kis ne sunaya aur sunaya to kya suna
sunta hun aaj tu ne mera majra suna
aise se dil ka haal kahen bhi to kya kahen
jo be-kahe kahe ki chalo bas suna suna
wasl-e-adu ka haal sunane se faeda
allah rahm kijiye bas bas suna suna
qasid tere sukut se dil be-qarar hai
kya us jafa-shiar ne tujh se kaha suna
aaKHir 'hasan' wo ruTh gae uTh ke chal diye
kam-baKHt aur haal-e-dil-e-mubtala suna
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 127)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.