kis ne ye socha tha haidar aisa bhi ho sakta hai
kis ne ye sochā thā 'haidar' aisā bhī ho saktā hai
jis ko pyaar samajh baiThe vo dhokā bhī ho saktā hai
ġhairoñ ke hāthoñ meñ ḳhanjar DhūñD rahe ho āḳhir kyoñ
jis ne kiyā barbād hameñ vo apnā bhī ho saktā hai
sāñseñ lenā bas ho alāmat jiine kī lāzim to nahīñ
dil ke andar jhāñk ke dekho murda bhī ho saktā hai
saare jahāñ meñ baat mohabbat kī jo kartā phirtā hai
us ke ghar nafrat kā añdherā phailā bhī ho saktā hai
terī mahfil tere bande ho jitnā bhī shor magar
ham mahfil meñ aa.eñ to sannāTā bhī ho saktā hai
phir se kisī ko dil meñ basā.ūñ phir se kisī ke dard sahūñ
ye dil kā āñgan hai suunā suunā bhī ho saktā hai
aag lagāne se pahle ai kaash vo itnā soch bhī le
ye jo jalā hai ye merā sarmāya bhī ho saktā hai
'haidar' saarā haal maiñ apnā kaise ġhazal meñ likh Dālūñ
fikr mujhe bas ye hai koī rusvā bhī ho saktā hai
kis ne ye socha tha 'haidar' aisa bhi ho sakta hai
jis ko pyar samajh baiThe wo dhoka bhi ho sakta hai
ghairon ke hathon mein KHanjar DhunD rahe ho aaKHir kyon
jis ne kiya barbaad hamein wo apna bhi ho sakta hai
sansen lena bas ho alamat jine ki lazim to nahin
dil ke andar jhank ke dekho murda bhi ho sakta hai
sare jahan mein baat mohabbat ki jo karta phirta hai
us ke ghar nafrat ka andhera phaila bhi ho sakta hai
teri mahfil tere bande ho jitna bhi shor magar
hum mahfil mein aaen to sannaTa bhi ho sakta hai
phir se kisi ko dil mein basaun phir se kisi ke dard sahun
ye dil ka aangan hai suna suna bhi ho sakta hai
aag lagane se pahle ai kash wo itna soch bhi le
ye jo jala hai ye mera sarmaya bhi ho sakta hai
'haidar' sara haal main apna kaise ghazal mein likh Dalun
fikr mujhe bas ye hai koi ruswa bhi ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.