kis pe khulta hai bankpan us ka
kis pe khultā hai bāñkpan us kā
hai tarāshā huā badan us kā
ḳhāmushī bhī ḳhamosh ho jaa.e
kahīñ sun le agar suḳhan us kā
maiñ tujhe dekhtā nahīñ pyāre
maiñ to bas dekhtā huuñ fan us kā
raushnī nuur meñ badaltī hai
naam letī hai jab kiran us kā
ḳhauf aatā hai aa.ine se mujhe
sochtā huuñ akelā-pan us kā
'ain mumkin hai phuul ban jaa.e
chhū liyā jis ne pairahan us kā
'qais'-o-'zahrāb' donoñ āshiq haiñ
dasht is kā hai aur ban us kā
kis pe khulta hai bankpan us ka
hai tarasha hua badan us ka
KHamushi bhi KHamosh ho jae
kahin sun le agar suKHan us ka
main tujhe dekhta nahin pyare
main to bas dekhta hun fan us ka
raushni nur mein badalti hai
nam leti hai jab kiran us ka
KHauf aata hai aaine se mujhe
sochta hun akela-pan us ka
'ain mumkin hai phul ban jae
chhu liya jis ne pairahan us ka
'qais'-o-'zahrab' donon aashiq hain
dasht is ka hai aur ban us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.